Wednesday 28 September 2011

desh ki haalat

desh ab hamara viran ho gaya hai,
jaise har pal ek jalta hua, samsan ho gaya hai.
jindagi laso me tabdeel ho rahi hai.
aur suna har kisi ka jahan ho gaya hai.
desh prem ki bhavna ab lupt ho rahi hai.
ye to sara sar desh ka apman ho raha hai.
kisi ki jindgi ke badle kisi ko  maut mil rahi hai.
dekho yaro desh ka  kya anjam ho gaya hai.
aaj bhi swabhiman plta hai maa ki  kokh me.
isliye hamko apne upar abhiman ho gaya hai.
phal phul rahe hai wo gore britain ke nivasi.
jinke khoon ke katro me hamari mehnat ka ehsaan ho gaya hai.
jinhe diye jameen aur paise desh basane ke liye .
wo pakistan aaj  hamse  anjan ho gaya hai.
kitne hamle kiye,par hum maf karte gaye.
kyo ki wo jan le ki, yaha ka har aadmi ab insan ho gaya hai.
( kyo ki insan ki fitarat hai maf karna)

Sunday 25 September 2011

insano wali bat

insan ho insano par viswas hona chahiye,
insano ho insano wale jajbat hona chahiye,
insaniyat ka mukhauta lagakar kab tak firoge,
insan ho insano wali bat honi chahiye.
bina matlab koi kisi ko kuch deta nahi hai,
ehsan kar ke insan kabhi kuch leta nahi hai,
 insan ho insano jaisi aukat honi chahiye,
insan ho insano wali bat honi chahiye,
akele chalkar insan khud ko saja deta hai,
sahara ho kisi apne ka to rahi manjil ka maja leta hai
insan ho achchhe insano ka sath hona chahiye,
insanho insano wali bat honi chahiye.